Shlok
Liya Naam Jisne Bhi Shivji Ka Man Se,
Use Bhole Shankar Ne Apna Banaya,
Khule Us Pe Sab Dwaar Shiv Ki Daya Ke,
Jo Shraddha Se Bhole Ke Mandir Mein Aaya.
Har Har Mahadev Ki Jai Ho,
Shankar Shiv Kailashpati Ki Jai Ho.
Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakton,
Shiv Ji Ke Charanon Mein Sar Ko Jhukaye,
Karein Apne Tan Man Ko Ganga Sa Pavan,
Jape Naam Shiv Ka Bhajan Inke Gaaye.
Har Har Mahadev Ki Jai Ho.
Yeh Sansar Jhoothi Maya Ka Bandhan,
Shivalay Mein Marg Hai Mukti Ka Bhakto,
Mahadev Ka Naam Lene Se Har Din,
Milega Humein Daan Shakti Ka Bhakto,
Mitti Mein Mitti Ki Kaaya Milegi,
Chalo Aatma Ko To Kundan Banaye,
Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto.
Kahi Bhi Nahi Ant Uski Daya Ka,
Karein Vandana Us Dayalu Pita Ki,
Humein Bhi Mile Chhaav Uski Kripa Ki,
Humein Bhi Mile Bhikh Uski Daya Ki,
Lagakar Samadhi Karein Shiv Ka Smaran,
Yoon Soye Hue Bhagya Apne Jagaaye,
Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto.
Karein Sab Ka Kalyan Kalyankar,
Bhare Sabke Bhandar Trinetra Dhaari,
Koi Usko Jag Mein Kami Na Rahegi,
Banega Jo Tan-Man Se Shiv Ka Pujari,
Kare Naam Leke Safal Apna Jeevan,
Yeh Anmol Jeevan Yoon-Hi Na Gawaaye,
Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto.
Chalo Shiv Shankar Ke Mandir Mein Bhakto,
Shiv Ji Ke Charanon Mein Sar Ko Jhukaye,
Karein Apne Tan Man Ko Ganga Sa Pavan,
Jape Naam Shiv Ka Bhajan Inke Gaaye.
कृष्णा हिंदू धर्म में एक प्रमुख देवता है। उन्हें विष्णु के आठवें अवतार के रूप में और अपने आप में सर्वोच्च भगवान के रूप में भी पूजा जाता है।
Copyright 2024-25 Bhakti Darshan . All rights reserved - Design & Developed by BD