Man Shiv Mein Aise Rma Hai,
Ye Bhool Gaye Hum Kaha Hai,
Saara Jag Shiv May Dikhata Hai,
Ambar Shiv Dharti Uma Hai,
Man Shiv Mein Aise Rma Hai.
Jab Dhyan Mein Aate Hai Shiv Ji,
Mujhe Adbhut Shanti Milti Hai,
Main Dikhla Nahi Sakta Jag Ko,
Jo Man Mein Jyoti Jalta Hai,
Jab Bhool Koi Ho Jaati Hai,
Shiv Karte Mujhko Kshama Hai,
Saara Jag Shiv May Dikhata Hai,
Ambar Shiv Dharti Uma Hai,
Man Shiv Mein Aise Rma Hai.
Shiv Bhakti Ka Anand Madhur,
Koi Varnan Kar Na Paate Hai,
Ye Wahi Jaane Bhakt Yahan,
Jo Shambhumay Ho Jaate Hai,
Jaisi Moorat Man Mein Dikhati Hai,
Uski Na Koi Upma Hai,
Saara Jag Shiv May Dikhata Hai,
Ambar Shiv Dharti Uma Hai,
Man Shiv Mein Aise Rma Hai.
Shiv Ki Mahanata Ati Udaar,
Jo Pooje Wo Pa Jaate Hai,
Jis Pe Ho Shiv Shambhu Ki Kripa,
Wo Praani Amr Pad Paate Hai,
Bhakton Ke Hetu Ban Baithe Shiv,
Paashan Ki Ek Pratima Hai,
Saara Jag Shiv May Dikhata Hai,
Ambar Shiv Dharti Uma Hai,
Man Shiv Mein Aise Rma Hai.
कृष्णा हिंदू धर्म में एक प्रमुख देवता है। उन्हें विष्णु के आठवें अवतार के रूप में और अपने आप में सर्वोच्च भगवान के रूप में भी पूजा जाता है।
Copyright 2024-25 Bhakti Darshan . All rights reserved - Design & Developed by BD