Maa Ke Rahte Bhagat
Kabhi Ro Nahi Sakta
Bhakt Bhulaaye Maa Nahi Aaye
Ho Nahi Sakta
Bhagat To Jaan Hai Iski
Bhagat Me Praan Atke Hai
Bhakt Ko Yaad Kar Kar Ke
Iske Din Raat Kutte Hai
Aur Kahin Par Maiya Ka
Dil Nahi Lagta
Bhakt Bhulaaye Maa Nahi Aaye
Ho Nahi Sakta
Bhagat Thokar Kha Kar Girta
Isko Chot Aati Hai
Bhakt Ke Paas Me Iski
Aatma Daur Jaati Hai
Mandir Me Rukna Ke
Phir Dil Nahi Karta
Bhakt Bhulaaye Maa Nahi Aaye
Ho Nahi Sakta
Chahe Ghar Me Chahe Mandir Me
Maa To Bas Maa Hi Hoti Hai
Bhakt Ke Aankh Bhar Aaye
To Aankhe Maa Ki Roti Hai
Maa Ki Tulna Koi Bhi
Kar Nahi Sakta
Bhakt Bhulaaye Maa Nahi Aaye
Ho Nahi Sakta
Buri Nazaro Se Ye Maiya
Bacha Ke Rakhti Hai
Seene Se Vanwari Hamko Ye
Miyan Laga Kar Rakhti Hai
Ungli Pakad Kar Rakhti
Beta Kho Nahi Sakta
Bhakt Bhulaaye Maa Nahi Aaye
Ho Nahi Sakta
कृष्णा हिंदू धर्म में एक प्रमुख देवता है। उन्हें विष्णु के आठवें अवतार के रूप में और अपने आप में सर्वोच्च भगवान के रूप में भी पूजा जाता है।
Copyright 2024-25 Bhakti Darshan . All rights reserved - Design & Developed by BD