Kal Yug Mein Siddh Ho Dev Tumhi,
Hanuman Tumhara Kya Kehna,
Kal Yug Mein Siddh Ho Dev Tumhi,
Hanuman Tumhara Kya Kehna,
Teri Shakti Ka Kya Kehna,
Teri Bhakti Ka Kya Kehna॥
Sita Ki Khoj Kari Tumne,
Tum Saat Samundar Paar Gaye,
Lanka Ko Kiya Shamshaan Prabhu,
Balwaan Tumhara Kya Kehna,
Teri Shakti Ka Kya Kehna,
Teri Bhakti Ka Kya Kehna॥
Jab Lakhan Laal Ko Shakti Lagi,
Tum Dholagiri Parvat Laaye,
Lakshman Ke Bachaye Aa Kar Ke,
Tab Praan Tumhara Kya Kehna,
Teri Shakti Ka Kya Kehna,
Teri Bhakti Ka Kya Kehna॥
Tum Bhakt Shiroamani Ho Jag Mein,
Tum Veer Shiroamani Ho Jag Mein,
Tere Rom Rom Mein,
Tere Rom Rom Mein Baste Hain,
Siya Ram Tumhara Kya Kehna,
Teri Shakti Ka Kya Kehna,
Teri Bhakti Ka Kya Kehna॥
Read the full lyrics of O Mohan Aavo To Sahi – a soulful Meera Bai bhajan sung by Pooja Sakhi with music by Bijender Chauhan. Devotional, traditional, and touching.
Copyright 2024-25 Bhakti Darshan . All rights reserved - Design & Developed by BD