loader
blog_img
  • May, 19, 2025
  • by Admin

Magan Me Hai Ram Dhun

Hanuman Jab Chale,
Sugreev Bole,
Vaanron Tatkaal Tum Jao,
Shri Janki Maiya Ka,
Pata Jaake Lagao ||

Hokar Niraash Tum Jo,
Mere Paas Aaoge,
Yah Sun Lo Kaan Ko Kholkar,
Sab Maare Jaooge ||

Yah Hukam Sunke Chal Padi,
Sugreev Ki Palatan,
Sab Khoj Daale,
Ek Ek Jungle Pahaad Van,
Mata Ko Khoj Paaye,
Nahi Jab Wah Bechaare,
Maa Anjani Ke Laal Ko,
Sab Milkar Pukaare ||

He Veeravar Hanuman,
Ab Sankat Se Chhudaao,
Hum Sab Sharan Hai Aapki,
Ab Laaj Bachao,
Utho He Mahaveer,
Nahi Der Lagao ||

Shri Janki Maiya Ka,
Pata Jaake Lagao,
Yah Sunkar Garjkar Uthe,
Jab Veeravar Hanuman,
Tharra Gayi Zameen,
Kaamp Utha Aasman ||

Aur,
Veeron Ke Veer Shiroamani,
Balwaan Jab Chale,
Hanuman Jab Chale ||

Veeron Ke Veer Shiroamani,
Shri Ram Ji Ka Karte Hue,
Dhyaan Jab Chale,
Ravan Ka Todhne Ko,
Woh Abhiman Jab Chale ||

Dharkar Virat Roop,
Ban Toofan Jab Chale,
Lanka Dahaadte Hue,
Hanuman Jab Chale ||

Mata Ko Khojne Chale,
Jab Anjani Kumar,
Sab Vaanron Ke Dal Mein Machi,
Jay Jay Kaar ||

Maari Chhalaang Aur Samandar,
Ko Hue Paar,
Aakash Dol Utha Aur,
Hil Gaya Sansar ||

Vikraal Gadaa Haath Mein,
Woh Taan Jab Chale,
Balwaan Jab Chale ||

Lanka Mein Pahunchkar Ke,
Diye Vaatika Ujaad,
Akshay Kumar Ko Diye,
Dharti Par Woh Pachhaad ||

Aaya Jo Saamne Diye,
Kakdi Ke Jaise Phaad,
Dushman Ke Ghar Mein Apna,
Jhanda Diye Wah Ghaad ||

Karte Hue Phir Yudh Woh,
Ghamasaan Jab Chale,
Hanuman Jab Chale ||

Yah Haal Dekh Bhaage,
Sabhi Jaan Chhod Kar,
Ravan Ko Batane Lage,
Wah Haath Jodkar ||

Ek Kapi Ne Rakh Diye,
Bagiya Ke Saare Ped Todkar,
Maara Hai Jambhu Maali Ko,
Gardan Marod Kar ||

Lanka Ka Mitane Ko Wah,
Nishaan Jab Chale,
Hanuman Jab Chale ||

Shri Ram Ke Bhagat Ne Wahan,
Aisa Kiya Kamaal,
Lanka Ko Phook Daale,
Maa Anjani Ke Laal ||

Aankhen Milaaye Bajrangi Se,
Sharma Kiski Hai Majaal,
Dushman Ko Chaba Daale,
Wah Banke Mahakaal ||

Lanka Ko Bana Kar Ke,
Wah Shamshaan Jab Chale,
Hanuman Jab Chale ||

Veeron Ke Veer Shiroamani,
Balwaan Jab Chale,
Balwaan Jab Chale ||

side_img

O Mohan Aavo To Sahi

Read the full lyrics of O Mohan Aavo To Sahi – a soulful Meera Bai bhajan sung by Pooja Sakhi with music by Bijender Chauhan. Devotional, traditional, and touching.

Read More

Get update sign up now !